Best 50+ Famous Urdu Shayari By Urdu Poets

Urdu shayari

Urdu Shayari is a form of poetry that holds a significant place in South Asian literature, especially in Pakistan and India. Shayari, or poetry, in Urdu is known for its rich tradition, emotional depth, and artistic expression. Here’s a brief introduction to its elements and significance: This couplet beautifully captures the essence of human emotion and the poet’s sensitivity to pain and suffering. Urdu Shayari remains a cherished and celebrated art form, continuing to inspire and move people with its timeless beauty and profound expressions.

Famous Urdu shayari

Kab Woh Sunta Hai Kahani Meri

Aur Woh Bhi Zubani Meri

کب وہ سنتا ہے کہانی میری
اور وہ بھی زبانی میری

{BY-Mirza Ghalib}

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyon

Roeinge hum hazaar baar, koi humein sataaye kyon

دل ہی تو ہے نہ سنگ و خشت، درد سے بھر نہ آئے کیوں
روئیں گے ہم ہزار بار، کوئی ہمیں ستائے کیوں

{By- Mirza Ghalib}

Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg ilaaj
Shama har rang mein jalti hai sehar hone tak

غم ہستی کا اسد کس سے ہو جز مرگ علاج
شمع ہر رنگ میں جلتی ہے سحر ہونے تک

{BY- Mirza Ghalib}

Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحان اور بھی ہیں

{BY- Allama Iqbal}

Gulon mein rang bhare baad-e-nau bahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale

گلوں میں رنگ بھرے باد نو بہار چلے
چلے بھی آؤ کہ گلشن کا کاروبار چلے

{BY- Faiz Ahmed Faiz}

Pata pata boota boota haal hamara jaane hai
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saara jaane hai

پتا پتا بوٹا بوٹا حال ہمارا جانے ہے
جانے نہ جانے گل ہی نہ جانے باغ تو سارا جانے ہے

{BY- Mir Taqi Mir}

Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe ch

رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کے لیے آ
آ پھر سے مجھے چھوڑ کے جانے کے لیے آ

{BY- Ahmad Faraz}

Sarhanay “Meer” Ke Ahista Bolo

Abhi Tak Rote Rote So Gaya Hai

سرہانے میر کے آہستہ بولو
ابھی ٹک روتے روتے سو گیا ہے

(BY- Mir Taqi Mir)

Aao Keh Aaj Khatam Howi Dastaan-e-Ishq!

Ab Khatam-e-Aashiqi Ke Fasane Sunahain Hum

آؤ کہ آج ختم ہوئی داستان عشق

اب ختم عاشقی کے فسانے سناہیں ہم

(BY- Faiz Ahmed Faiz)

Janay Kya Waqia Hai Honay Ko

Jee Buhat Chahta Hai Ronay Ko

جانے کیا واقعہ ہے ہونے کو

جی بہت چاہتا ہے رونے کو

(BY- John Elia)

Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Azaad Hain

Dekhna Hai Khenchta Hai Mujh Pah Pehla Teer Kon

دشمنوں کے ساتھ میرے دوست بھی آزاد ہیں

دیکھنا ہے کھینچتا ہے مجھ پہ پہلا تیر کون

(BY- Parveen Shakir)

Yeh Baat Nahi Keh Mujhay Is Pah Yaqeen Nahi

Bas Dar Gaya Hoon Khud Ko Sahab-e-Aimaan Kehtay Kehtay

یہ بات نہیں کہ مجھے اس پہ یقین نہیں

بس ڈر گیا ہوں خود کو صاحب ایمان کہتے کہتے

(BY- Allama Iqbal)

Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhay

Tou Buhat Der Se Mila Hai Mujhay

زندگی سے یہی گلا ہے مجھے

تو بہت دیر سے ملا ہے مجھے

(BY- Ahmad Faraz)

Click Here ⇧⇧

Tumhain Kya Aaj Bhi Koi Agar Milne Nahi Aaya

Yeh Baazi Hum Ne Haari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

تمہیں کیا آج بھی کوئی اگر ملنے نہیں آیا

یہ بازی ہم نے ہاری ہے ستارو تم تو سو جاؤ

(BY- Qateel Shifai)

Is Judai Mein Tum Andar Se Bikhar Jao Gay

Kisi Mazor Ko Dekho Gaye Toh Yaad Aaoga

اس جدائی میں تم اندر سے بکھر جاؤ گے

کسی معذور کو دیکھو گے تو یاد آؤں گا

(BY- Wasi Shah)

Jab Jeenay Ka Shoq Tha Toh Dushman Hazar Thay

Ab Marna Chahta Hoon Toh Qatil Nahi Milta

جب جینے کا شوق تھا تو دشمن ہزار تھے

اب مرنا چاہتا ہوں تو قاتل نہیں ملتا

(BY- Mirza Ghalib)

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyon
Roeinge hum hazaar baar, koi humein sataaye kyon

دل ہی تو ہے نہ سنگ و خشت، درد سے بھر نہ آئے کیوں
روئیں گے ہم ہزار بار، کوئی ہمیں ستائے کیوں

{By- Mirza Ghalib}

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai

خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے، بتا تیری رضا کیا ہے

{By- Allama Iqbal}

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Maine samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat

مجھ سے پہلی سی محبت میرے محبوب نہ مانگ
میں نے سمجھا تھا کہ تُو ہے تو درخشاں ہے حیات

{By- Faiz Ahmed Faiz}

Ulti ho gayin sab tadbeerain kuch na dawa ne kaam kiya
Dekha is bimaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

اُلٹی ہو گئیں سب تدبیریں کچھ نہ دوا نے کام کیا
دیکھا اس بیماری دل نے آخر کام تمام کیا

{By- Mir Taqi Mir}

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
So us ke sheher mein kuch din thehar ke dekhte hain

سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں

{By- Ahmad Faraz}

Ko ba ko phail gayi baat shanasaai ki
Us ne khushboo ki tarah meri pazeerai ki

کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی
اس نے خوشبو کی طرح میری پذیرائی کی

{By- Parveen Shakir}

Ab nahi koi baat khatre ki
Ab sabhi ko sabhi se khatra hai

اب نہیں کوئی بات خطرے کی
اب سبھی کو سبھی سے خطرہ ہے

{By-Jaun Elia}

Dil to mera udaas hai Nasir
Sheher kyun saayein saayein karta hai

دل تو میرا اداس ہے ناصر
شہر کیوں سائیں سائیں کرتا ہے

{By- Nasir Kazmi }

Ab ke hum bichhde to shaayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein milein

اب کے ہم بچھڑے تو شاید کبھی خوابوں میں ملیں
جس طرح سوکھے ہوئے پھول کتابوں میں ملیں

{By-Mohsin Naqvi }

Umar bhar hum yun hi galti karte rahe
Dhul chehre pe thi, hum aaina saaf karte rahe

عمر بھر ہم یوں ہی غلطی کرتے رہے
دھول چہرے پہ تھی، ہم آئینہ صاف کرتے رہے

{By- Bashir Badr}

Urdu Poem by Famous Poets

Poem: “Hazaaron Khwahishen”

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

ہزاروں خواہشیں ایسی کہ ہر خواہش پہ دم نکلے
بہت نکلے میرے ارمان لیکن پھر بھی کم نکلے

{By-Mirza Ghalib}

Sitaron se aage jahaan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahi ye fazaayen
Yahan saaya-o-kham nishaan aur bhi hain

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحان اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سایہ و خَم نشاں اور بھی ہیں

{By- Allama Iqbal}

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyun
Roeinge hum hazaar baar, koi humein sataaye kyun
Bar-mila kahunga, agar jaoge tum
Baat se kuch nahi banti, dilon ka kya hoga

دل ہی تو ہے نہ سنگ و خشت، درد سے بھر نہ آئے کیوں
روئیں گے ہم ہزار بار، کوئی ہمیں ستائے کیوں
برملا کہوں گا، اگر جاؤگے تم
بات سے کچھ نہیں بنتی، دلوں کا کیا ہو گا

{By- Mirza Ghalib}

Dil na-umeed to nahi, na-kam hi to hai
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Hum parwarish-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge

دل نہ امید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے
ہم پرورش لوح و قلم کرتے رہیں گے
جو دل پہ گزرتی ہے رقم کرتے رہیں گے

{By- Faiz Ahmed Faiz}

Ko-ba-ko phail gayi baat shanasaai ki
Us ne khushboo ki tarah meri pazeerai ki
Kaise keh doon ke mujhe chhod diya hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki

کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی
اس نے خوشبو کی طرح میری پذیرائی کی
کیسے کہہ دوں کہ مجھے چھوڑ دیا ہے اس نے
بات تو سچ ہے مگر بات ہے رسوائی کی

{By- Parveen Shakir}

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
So us ke sheher mein kuch din thehar ke dekhte hain
Suna hai bole to baaton se phool jhadte hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں

{By- Ahmad Faraz}

Ab nahi koi baat khatre ki
Ab sabhi ko sabhi se khatra hai
Hum ke thehre ajnabi itni mulaqaton ke baad
Phir banenge aashna kitni mudaraaton ke baad

اب نہیں کوئی بات خطرے کی
اب سبھی کو سبھی سے خطرہ ہے
ہم کہ ٹھہرے اجنبی اتنی ملاقاتوں کے بعد
پھر بنیں گے آشنا کتنی مداراتوں کے بعد

{By- Jaun Elia}

Read More-

120+ Best Jaan Shayari in Hindi | जान शायरी

Best 72+ Shayari of Allama Iqbal

Thank you for visiting our website and giving your precious time to us. we hope these Urdu shayari make feel good and it helps you out. For more shayari please visit our website. comment, share these Urdu shayari. if you have collection of best Urdu shayari comment us below.

Treading

Sad Shayari Blog

❝न ढूंढ मेरा किरदार दुनिया की भीड़ में, वफादार तो हमेशा तन्हा ही मिलते हैं..‼🥲

Blog Sad Shayari

Judaa to ek din saansein Bhi ho jati hai, Lekin shikayat sirf mohabbat se hi kyu..‼

Blog Love Shayari

I never searched but I found you I never asked but I have you I never wished for anything but it come true I just want to thank God For Giving me such a lovely wife like you..!

Top Shayari of Allama Iqbal Blog

ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai

Blog Sad Shayari

तू चाहत है मेरी, तू चाहतो में ही रह, हकीकत बनाकर तुझे, खोना गवारा नहीं मुझे।

Blog Jaan Shayari

जिंदगी मिलती सबको एक सी है, बस इसे जीने के तरीके अलग होते हैं !

More Posts