Best 72+ Shayari of Allama Iqbal

shayari of allama iqbal

Shayari of Allama Iqbal is very famous. Allama Iqbal is the most famous poet of the Urdu language, known for his profound and thought-provoking poetry that speaks to the heart and souls of his readers. His works are a masterful blend of Islamic mysticism, philosophy, and social commentary, often exploring themes of spirituality, faith, human struggle, and the quest for knowledge and enlightenment.

Allama Iqbal’s poetry continues to inspire and resonate with people from all walks of life, transcending linguistic and cultural boundaries. His words serve as a timeless beacon of hope, enlightenment, and spiritual awakening for generations to come

Allama Iqbal shayari

shayari of allama iqbal

ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle

ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai

sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ

abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ

maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ

tū merā shauq dekh mirā intizār dekh

tire ishq kī intihā chāhtā huuñ

mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ

tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā

tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ

nasha pilā ke girānā to sab ko aatā hai

mazā to tab hai ki girtoñ ko thaam le saaqī

hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai

baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā

apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagī

tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban

dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai

par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai

achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql

lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de

jis khet se dahqāñ ko mayassar nahīñ rozī

us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do

yaqīñ mohkam amal paiham mohabbat fātah-e-ālam

jihād-e-zindagānī meñ haiñ ye mardoñ kī shamshīreñ

anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñ

ye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ

bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñ

kār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar

tū ne ye kyā ġhazab kiyā mujh ko bhī faash kar diyā

maiñ hī to ek raaz thā sīna-e-kā.enāt meñ

na pūchho mujh se lazzat ḳhānamāñ-barbād rahne kī

nasheman saikḌoñ maiñ ne banā kar phūñk Daale haiñ

urūj-e-ādam-e-ḳhākī se anjum sahme jaate haiñ

ki ye TuuTā huā taarā mah-e-kāmil na ban jaa.e

Top Shayari of Allama Iqbal Quotes in Urdu & English

Inspirational Allama Iqbal Quotes in Urdu and English about Life. Powerful quotes that will inspire you to do better in your life. 

shayari of allama iqbal

Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara

~Fortunes of States through individual prowess ripen
Each man one star of their ascendant۔

Main Intihaye Ishq Hun, Tu Intihaye Husn
Dekhe Mujhe Ke Tujh Ko Tamasha Kare Koi

~I am the extreme Love, Thou art the extreme Beauty
One should see me or witness Thy Spectacle

Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye Pegham
Dunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham

~The sun conveyed this message to its rays
ʺWhat wonder great, the change of nights and days!

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai

~By action life may become both paradise and hell;
This creature of dust in its nature is neither of light nor of fire.

Musalman Ko Musalman Kar Diya Toofan-E-Maghrib Ne
Talatum Haye Darya Hi Se  Hai Gohar Ki Seerabi

~The storm in the West made Muslims Muslims.
Pearls are produced in abundance from the very buffetings of the sea.

Ho Deed Ka Jo Shauq To Ankhon Ko Band Kar
Hai Dekhna Yehi Ke Na Dekha Kare Koi

~Close your eyes if you want taste for the Sight
The real Seeing is that one should not try to see Him

Tere Ilm-O-Mohabbat Ki Nahin Hai Intaha Koi
Nahin Hai Tujh Se Barh Kar Saaz-E-Fitrat Mein Nawa Koi

~There is no limit to your knowledge and love;
In the instrument of nature there is no sweeter song than you.

Koi Andaza Kar Sakta Hai Uss Ke Zor-E-Bazu Ka !
Nigah-E-Mard-E-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeerain

~Can anyone even guess at the strength of his arm?
By the glance of the man who is a true believer even destiny is changed.

Sodagari Nahin, Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor De

~This is not business, this is ‘ibadat of God!
O ignorant one, abandon the longing for reward also

Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri

~Why does this custom of silencing exist in your assembly?
My tongue is tantalized to talk in this assembly.

Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare
Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga

~There are thousands of God’s Lovers, who are roaming in the wilderness
I shall adore the one who will be the lover of God’s people

Top Shayari of Allama Iqbal in Urdu

shayari of allama iqbal

Manzil se aagy barh kar manzil talash kar

Mill jaye tujh ko darya tu Samandar talash kar

Har shesha toot jata hai pathar ki choot se

Pathar he toot jaye wo sheesha talash kar

Sajdon se tery kiya huwa sadiyan guzar gayen

Duniya teri badal de wo sajda talash kar.

Bister se uth kar Masjid tak na ja saky Iqbal

Khuwaish rakhty hain, Qabar se uth kar Jannat jane ki.

Hairat hai k taleem-o-taraqi mein hai peechy

Jis qoum ka agaz he Iqra sy huwa tha.

Kon rakhy ga humein yaad ic door-e-khudgarzi mein

Halaat aisy hain ky logon ko Khuda yaad nahi.

Junoon-e-Ishq se tou Khuda bhe na bach saka Iqbal

tareef Husn-e-Yaar mein sara Quran likh deya.

Kiyun peety hain log sharab kisi k gham mein Iqbal

Jhoothy yaar ki khatir sachy Khuda ko naraz karty hain.

Diyaar-e-Ishq mein apna muqam paida kar

Naya zamana, Nay’e Subh-o-Shaam paida kar,

Khuda agar dil fitrat shanas dy tujh ko

Sukoot lala-o-gul sy kalam paida kar.

Dill mein Khuda ka hona lazim hai Iqbal

Sajdon mein pary rehny sy Jannat nahi milti.

Sajda-e-Ishq ho tou ibadat mein maza aata hai

Khali Sajdon mein tou duniya he bassa karti hai

Log kehty hain k bas farz adda karna hai

Aisa lagta hai koi Qarz liya ho Rab sy

tere Sajdy kahin tujhe kafirr na kar dy ay Iqbal

tu jhukta kahin aur hai aur sochta kahin aur hai.

Amal se zindagi banti hai Jannat bhe, Jahanum bhe

Ye khaki apni fitrat mein na noori hai nah naari hai.

Haram Pak bhe ALLAH bhe Quran bhe aik

Kuch bari baat thi hoty jo Musalman bhe aik.

Bharri bazm mein raaz ke baat keh di

Bada Bay-Adab hun saza chahta hun.

Koi qabil ho tou hum shaanein kaye dety hain

Dhoondne walon ko duniya bhe nayi dety hain.

Apne kirdaar pe daal k parda Iqbal

Har shaks keh raha hai zamana kharab hai.

Kabhi tanhai Koh-o-Damn ishq

kabhi souz-o-suroor o anjuman ishq

Kabhi sarmaya-e-mehrab o mimber

Kabhi Mola Ali(as) khyber shikan ishq.

Nahe ALLAH ko us momin ki parwah

K jis ke rooh khwabeda hai ab tak

Mera dil kiya lagy maktab mein hum’dum

Nah ho aik bhe jawan bydar jab tak.

tammanah se dil ko abaad kar

ye nashad hai tou ise shaad kar

koi nuskah-e-khas ejad kar

khurd ko ghulami se azaad kar.

Nah tu zameen k’lea hai na asmaa k’lea

Jahan hai tery lea, tu nahe jahan k’lea.

tery soofy hai afrangi, tery qaleen hain irani

lahu mujh ko rulati hai jawanon ke tann aasani.

Nikal Ke Sehra Se Jis Ne Ruma Ke Saltanat Ko Ulat Dea tha

Suna Hai Qudsion Se Main Ne Wo Sher Phir Hoshiyar Hoga.

Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera

Tery Samny Aasmaa Aur Bhe Hain.

Haya nahe hai zamane ke aankh mein baqi

Khuda kare k jawani teri rahy bey’dagh.

Ye khamoshi kahan tak? Lazzat-e-Fryaad paida kar

Zameen par tu ho aur teri sadda ho aasmano mein.

Ay Tahir! lahoti ic rizq se moat achi

jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi.

Yahi sabaq deta hai hamein har shaam ka sooraj Iqbal

Magrib ki taraf jao gy tou doob jao gy.

Nahe hai Na-Umeed Iqbal apni kasht e veeran sy

Zra namm ho tou ye matti bahut zarkhaiz hai saqi.

Hazaron saal nargis apni bey’Noori py rooti hai

Bari mushkil se hota hai chaman mein deeda’warr paida.

Ho halqa-e-yaaran tu baresham ke tarah narm

Rizm haq o batil ho tu folad hai momin.

Khudi ko jab nazar aati hai qahiri apni

Yehi muqam hai kehty hain jis ko Sultani.

Dhoondta phirta hun main Iqbal apne aap ko

Aap he goya musafir aap he manzil hun main.

tu apni khudi kho chuka hai,

khoi hui shay ke justuju kar.

Apny bhe khafa mujh se hain, Baigane bhe nah khush

Main zehre hilahil ko kabhi keh na saka qund.

Dill gumrah ko ay kaash ye maloom ho jata Iqbal

Gunnah mein ic waqt tak lazzat hai jab tak ho nahe jata.

Khud badalty nahe, Quran ko badal dety hain

Huwy kis darja faqehaan e haram bey tofeeq

In ghulamon ka ye maslak hai k naqis hai kitab

K sikhati nahe momin ko ghulami k tareeq.

Ho deed ka jo shouq tou aankhon ko band kar

Hai deikhna yahe k nah deikha kare koi.

Faqat nigah se hota hai faisla dil ka

Nah ho nigah mein shokhi tu dilbari kiya hai

Kisy nahe hai tammanah-e-sarwari lekin

Khudi ke moat ho jis mein wo sarwari talash kar.

Matt kar khaak ky putly pe ghuroor e bey niyazi

Khud ko khud he mein jhank kar deikh tujh mein rakha kiya hai?

Mjnu ne shehr chora to sehra bhe choor de

Nizary ke hawas ho to laila bhe choor dy.

Faqat nigah se hota hai faisla dil ka

Na ho nigah mein shokhi to dilbari kiya hai.

Kisi ke nazar mein achy thy

Kisi ke nazar mein burry thy Iqbal

Haqeeqat mein jo jaisa tha

Hum us ke nazar mein waisy thy.

Moat ko smjhy hain ghafil ikhtitam e zindagi

Hai ye Shaam e zindagi, Subh e dawam e zindagi.

Ishq qatil sy bhe, Maqtool sy humdardi bhe

Ye bata kis sy mohabbat ke jazza mangy ga?

Sajda khaliq ko bhe, iblees se yarana bhe

Hashr mein kis se aqeedat ka silla mangy ga?

These quotes reflect Iqbal’s deep philosophical insights, his love for humanity, and his vision for a better world. Thank you for visiting our page. click here for good night shayari .

Treading

Sad Shayari Blog

❝न ढूंढ मेरा किरदार दुनिया की भीड़ में, वफादार तो हमेशा तन्हा ही मिलते हैं..‼🥲

Blog Jaan Shayari

जिंदगी मिलती सबको एक सी है, बस इसे जीने के तरीके अलग होते हैं !

Blog Sad Shayari

Judaa to ek din saansein Bhi ho jati hai, Lekin shikayat sirf mohabbat se hi kyu..‼

Blog Love Shayari

I never searched but I found you I never asked but I have you I never wished for anything but it come true I just want to thank God For Giving me such a lovely wife like you..!

Blog Sad Shayari

तू चाहत है मेरी, तू चाहतो में ही रह, हकीकत बनाकर तुझे, खोना गवारा नहीं मुझे।

Blog

हम तो बचपन से ही स्मार्ट हैं, अलग बात है की हम दिखावा नहीं करते ।

More Posts