Best 72+ Shayari of Allama Iqbal
Shayari of Allama Iqbal is very famous. Allama Iqbal is the most famous poet of the Urdu language, known for his profound and thought-provoking poetry that speaks to the heart and souls of his readers. His works are a masterful blend of Islamic mysticism, philosophy, and social commentary, often exploring themes of spirituality, faith, human struggle, and the quest for knowledge and enlightenment.
Allama Iqbal’s poetry continues to inspire and resonate with people from all walks of life, transcending linguistic and cultural boundaries. His words serve as a timeless beacon of hope, enlightenment, and spiritual awakening for generations to come
Allama Iqbal shayari
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
tire ishq kī intihā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
nasha pilā ke girānā to sab ko aatā hai
mazā to tab hai ki girtoñ ko thaam le saaqī
hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai
baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagī
tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai
par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql
lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
jis khet se dahqāñ ko mayassar nahīñ rozī
us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do
yaqīñ mohkam amal paiham mohabbat fātah-e-ālam
jihād-e-zindagānī meñ haiñ ye mardoñ kī shamshīreñ
anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñ
ye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñ
kār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar
tū ne ye kyā ġhazab kiyā mujh ko bhī faash kar diyā
maiñ hī to ek raaz thā sīna-e-kā.enāt meñ
na pūchho mujh se lazzat ḳhānamāñ-barbād rahne kī
nasheman saikḌoñ maiñ ne banā kar phūñk Daale haiñ
urūj-e-ādam-e-ḳhākī se anjum sahme jaate haiñ
ki ye TuuTā huā taarā mah-e-kāmil na ban jaa.e
Top Shayari of Allama Iqbal Quotes in Urdu & English
Inspirational Allama Iqbal Quotes in Urdu and English about Life. Powerful quotes that will inspire you to do better in your life.
Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara~Fortunes of States through individual prowess ripen
Each man one star of their ascendant۔
Main Intihaye Ishq Hun, Tu Intihaye Husn
Dekhe Mujhe Ke Tujh Ko Tamasha Kare Koi~I am the extreme Love, Thou art the extreme Beauty
One should see me or witness Thy Spectacle
Suraj Ne Diya Apni Shuaon Ko Ye Pegham
Dunya Hai Ajab Cheez, Kabhi Subah Kabhi Sham~The sun conveyed this message to its rays
ʺWhat wonder great, the change of nights and days!
Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai~By action life may become both paradise and hell;
This creature of dust in its nature is neither of light nor of fire.
Musalman Ko Musalman Kar Diya Toofan-E-Maghrib Ne
Talatum Haye Darya Hi Se Hai Gohar Ki Seerabi~The storm in the West made Muslims Muslims.
Pearls are produced in abundance from the very buffetings of the sea.
Ho Deed Ka Jo Shauq To Ankhon Ko Band Kar
Hai Dekhna Yehi Ke Na Dekha Kare Koi~Close your eyes if you want taste for the Sight
The real Seeing is that one should not try to see Him
Tere Ilm-O-Mohabbat Ki Nahin Hai Intaha Koi
Nahin Hai Tujh Se Barh Kar Saaz-E-Fitrat Mein Nawa Koi~There is no limit to your knowledge and love;
In the instrument of nature there is no sweeter song than you.
Koi Andaza Kar Sakta Hai Uss Ke Zor-E-Bazu Ka !
Nigah-E-Mard-E-Momin Se Badal Jati Hain Taqdeerain~Can anyone even guess at the strength of his arm?
By the glance of the man who is a true believer even destiny is changed.
Sodagari Nahin, Ye Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be-Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor De~This is not business, this is ‘ibadat of God!
O ignorant one, abandon the longing for reward also
Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri~Why does this custom of silencing exist in your assembly?
My tongue is tantalized to talk in this assembly.
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare
Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga~There are thousands of God’s Lovers, who are roaming in the wilderness
I shall adore the one who will be the lover of God’s people
Top Shayari of Allama Iqbal in Urdu
Manzil se aagy barh kar manzil talash kar
Mill jaye tujh ko darya tu Samandar talash kar
Har shesha toot jata hai pathar ki choot se
Pathar he toot jaye wo sheesha talash kar
Sajdon se tery kiya huwa sadiyan guzar gayen
Duniya teri badal de wo sajda talash kar.
Bister se uth kar Masjid tak na ja saky Iqbal
Khuwaish rakhty hain, Qabar se uth kar Jannat jane ki.
Hairat hai k taleem-o-taraqi mein hai peechy
Jis qoum ka agaz he Iqra sy huwa tha.
Kon rakhy ga humein yaad ic door-e-khudgarzi mein
Halaat aisy hain ky logon ko Khuda yaad nahi.
Junoon-e-Ishq se tou Khuda bhe na bach saka Iqbal
tareef Husn-e-Yaar mein sara Quran likh deya.
Kiyun peety hain log sharab kisi k gham mein Iqbal
Jhoothy yaar ki khatir sachy Khuda ko naraz karty hain.
Diyaar-e-Ishq mein apna muqam paida kar
Naya zamana, Nay’e Subh-o-Shaam paida kar,
Khuda agar dil fitrat shanas dy tujh ko
Sukoot lala-o-gul sy kalam paida kar.
Dill mein Khuda ka hona lazim hai Iqbal
Sajdon mein pary rehny sy Jannat nahi milti.
Sajda-e-Ishq ho tou ibadat mein maza aata hai
Khali Sajdon mein tou duniya he bassa karti hai
Log kehty hain k bas farz adda karna hai
Aisa lagta hai koi Qarz liya ho Rab sy
tere Sajdy kahin tujhe kafirr na kar dy ay Iqbal
tu jhukta kahin aur hai aur sochta kahin aur hai.
Amal se zindagi banti hai Jannat bhe, Jahanum bhe
Ye khaki apni fitrat mein na noori hai nah naari hai.
Haram Pak bhe ALLAH bhe Quran bhe aik
Kuch bari baat thi hoty jo Musalman bhe aik.
Bharri bazm mein raaz ke baat keh di
Bada Bay-Adab hun saza chahta hun.
Koi qabil ho tou hum shaanein kaye dety hain
Dhoondne walon ko duniya bhe nayi dety hain.
Apne kirdaar pe daal k parda Iqbal
Har shaks keh raha hai zamana kharab hai.
Kabhi tanhai Koh-o-Damn ishq
kabhi souz-o-suroor o anjuman ishq
Kabhi sarmaya-e-mehrab o mimber
Kabhi Mola Ali(as) khyber shikan ishq.
Nahe ALLAH ko us momin ki parwah
K jis ke rooh khwabeda hai ab tak
Mera dil kiya lagy maktab mein hum’dum
Nah ho aik bhe jawan bydar jab tak.
tammanah se dil ko abaad kar
ye nashad hai tou ise shaad kar
koi nuskah-e-khas ejad kar
khurd ko ghulami se azaad kar.
Nah tu zameen k’lea hai na asmaa k’lea
Jahan hai tery lea, tu nahe jahan k’lea.
tery soofy hai afrangi, tery qaleen hain irani
lahu mujh ko rulati hai jawanon ke tann aasani.
Nikal Ke Sehra Se Jis Ne Ruma Ke Saltanat Ko Ulat Dea tha
Suna Hai Qudsion Se Main Ne Wo Sher Phir Hoshiyar Hoga.
Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tery Samny Aasmaa Aur Bhe Hain.
Haya nahe hai zamane ke aankh mein baqi
Khuda kare k jawani teri rahy bey’dagh.
Ye khamoshi kahan tak? Lazzat-e-Fryaad paida kar
Zameen par tu ho aur teri sadda ho aasmano mein.
Ay Tahir! lahoti ic rizq se moat achi
jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi.
Yahi sabaq deta hai hamein har shaam ka sooraj Iqbal
Magrib ki taraf jao gy tou doob jao gy.
Nahe hai Na-Umeed Iqbal apni kasht e veeran sy
Zra namm ho tou ye matti bahut zarkhaiz hai saqi.
Hazaron saal nargis apni bey’Noori py rooti hai
Bari mushkil se hota hai chaman mein deeda’warr paida.
Ho halqa-e-yaaran tu baresham ke tarah narm
Rizm haq o batil ho tu folad hai momin.
Khudi ko jab nazar aati hai qahiri apni
Yehi muqam hai kehty hain jis ko Sultani.
Dhoondta phirta hun main Iqbal apne aap ko
Aap he goya musafir aap he manzil hun main.
tu apni khudi kho chuka hai,
khoi hui shay ke justuju kar.
Apny bhe khafa mujh se hain, Baigane bhe nah khush
Main zehre hilahil ko kabhi keh na saka qund.
Dill gumrah ko ay kaash ye maloom ho jata Iqbal
Gunnah mein ic waqt tak lazzat hai jab tak ho nahe jata.
Khud badalty nahe, Quran ko badal dety hain
Huwy kis darja faqehaan e haram bey tofeeq
In ghulamon ka ye maslak hai k naqis hai kitab
K sikhati nahe momin ko ghulami k tareeq.
Ho deed ka jo shouq tou aankhon ko band kar
Hai deikhna yahe k nah deikha kare koi.
Faqat nigah se hota hai faisla dil ka
Nah ho nigah mein shokhi tu dilbari kiya hai
Kisy nahe hai tammanah-e-sarwari lekin
Khudi ke moat ho jis mein wo sarwari talash kar.
Matt kar khaak ky putly pe ghuroor e bey niyazi
Khud ko khud he mein jhank kar deikh tujh mein rakha kiya hai?
Mjnu ne shehr chora to sehra bhe choor de
Nizary ke hawas ho to laila bhe choor dy.
Faqat nigah se hota hai faisla dil ka
Na ho nigah mein shokhi to dilbari kiya hai.
Kisi ke nazar mein achy thy
Kisi ke nazar mein burry thy Iqbal
Haqeeqat mein jo jaisa tha
Hum us ke nazar mein waisy thy.
Moat ko smjhy hain ghafil ikhtitam e zindagi
Hai ye Shaam e zindagi, Subh e dawam e zindagi.
Ishq qatil sy bhe, Maqtool sy humdardi bhe
Ye bata kis sy mohabbat ke jazza mangy ga?
Sajda khaliq ko bhe, iblees se yarana bhe
Hashr mein kis se aqeedat ka silla mangy ga?
These quotes reflect Iqbal’s deep philosophical insights, his love for humanity, and his vision for a better world. Thank you for visiting our page. click here for good night shayari .